Thursday, 10 October 2013

ye sach h, ki kavita nhi likh rahi hu

ye sach h, ki kavita nhi likh saki hu
ye sach h, ki
prakrati ki us pukar pr hm gaur nhi krte
jo, lgatar dil pr dastak deti h
jb, nirav raton me
aap chupke se rat ko gujrte
taron ko dhime se baten krte sunte ho
kuchh sansanahat si hoti h
mahaul me madak hwa ka alas rag gunjta h
vo jltrang jo
ganga ki lahron pr bjta h
jo, sajta h
kajal ki trh
mdham sa kisi ki aankhon me
aur palkon se dhulak jata h
koi aansu chupke se
bina kuchh kahe
chori se, ljaya huwa
teri yadon me
sakuchaya sa
simta huwa koi ahsas
kitna tallin tha mnpta hi nhi chla
kb ho gyi bhor ki ujas
kb, shihr kr
koi pamkhari jhar gyi
aur, auns bhi chu gyi
kisi patti ki koron pr

(kya ynhi h, vo kavita
jo, dhimi aanch si mn ke
andhere kone me thithki si
sulgi thi,
aaj uski aanch ka rang
haule se dikha h)

jogeshwari

No comments:

Post a Comment